ek tasvīr jo tashkīl nahīñ ho paa.ī
canvas par kabhī takmīl nahīñ ho paa.ī
ye jo ik bhiiḌ hai ye bhiiḌ kī baḌī muddat se
merī tanhā.ī meñ tahlīl nahīñ ho paa.ī
tīrgī ne koī ta.avīz kiyā hai shāyad
is liye raushnī tarsīl nahīñ ho paa.ī
maiñ ne har lafz nibhāyā thā baḌī shiddat se
par mirī shā.irī injīl nahīñ ho paa.ī
saarā sāmān thā maujūd merī gaThrī meñ
haañ magar haath meñ qindīl nahīñ ho paa.ī
phir kisī raat vo kohsār pe baiThā bolā
chāñdnī-rāt kī tamsīl nahīñ ho paa.ī
kis tarah maiñ unheñ mahfūz rakhūñgā 'bāsit'
ḳhvāhishoñ kī koī zambīl nahīñ ho paa.ī