parī safar meñ ramaq tak nahīñ ga.ī hogī
mujhe pata hai dhanak tak nahīñ ga.ī hogī
ye āsmān jo ma.amūl ke mutābiq hai
zamīñ kī chīḳh falak tak nahīñ ga.ī hogī
nazar meñ aatī huī tīrgī ḳhalāoñ beach
ye raushnī bhī chamak tak nahīñ ga.ī hogī
use ḳhabar hai tabī.at hī merī aisī hai
mujhe yaqīñ hai vo shak tak nahīñ ga.ī hogī
ye lafz yūñhī pighalte raheñge kāġhaz par
ye aag shahr-e-ḳhunak tak nahīñ ga.ī hogī
phir āsmān kā manzar jalā huā dekhā
kisī kī aañkh parakh tak nahīñ ga.ī hogī
vo phir ḳhamosh nigāheñ liye hue 'bāsit'
mirī kisī bhī jhalak tak nahīñ ga.ī hogī