idhar mahsūs hotī hai kamī us kī
udhar maiñ bhuul jaatā huuñ galī us kī
maiñ dariyā ho bhī jā.ūñgā to kyā hogā
mujhe ma.alūm hai jab tishnagī us kī
vo jis kī rāt-din tasbīh karte haiñ
kabhī dekhī nahīñ tasvīr bhī us kī
jahāñ jaa.e hameñ bhī saath le jaa.e
kahīñ be-ghar na kar de be-gharī us kī
vo aksar ḳhālī ghar meñ aatā jaatā hai
ki jaise chiiz koī rah ga.ī us kī
guzarte vaqt kī jab baat kartā hai
hamesha band hotī hai ghaḌī us kī