panchhiyoñ kī kisī qatār ke saath
bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath
kaam āsān to nahīñ phir bhī
jī rahe haiñ dil-e-figār ke saath
āñsuoñ kī tarah vajūd mirā
bahtā jaatā hai ābshār ke saath
uḌ rahā hai jo terī galiyoñ meñ
maiñ bhī shāmil huuñ us ġhubār ke saath
shām-e-vahshat kahāñ pe le aa.ī
tū mujhe apne intizār ke saath
aur bhī ik hisār hai 'az.har'
shahr-e-zindāñ ke is hisār ke saath