qadam qadam nishān DhūñDhtā rahā
maiñ ik nayā jahān DhūñDhtā rahā
bahut se qāfile mile the raah meñ
maiñ apnā kārvān DhūñDhtā rahā
nikal gayā jo maiñ hudūd-e-vaqt se
to mujh ko āsmān DhūñDhtā rahā
idhar maiñ dar-ba-dar makān ke liye
udhar mujhe makān DhūñDhtā rahā
ajiib shaḳhs huuñ ḳhushī kā ek pal
ġhamoñ ke darmiyān DhūñDhtā rahā
mujhe bayān kar rahā thā koī shaḳhs
maiñ apnī dāstān DhūñDhtā rahā