Azhar Abbas

hawa-e-tez ke aage kahan rahega koi

Azhar Abbas

havā-e-tez ke aage kahāñ rahegā koī
diye pe vaqt sadā mehrbāñ rahegā koī
ai dost ham bhī zamīñ par dhueñ kī sūrat haiñ
fazā meñ kitnā dhuāñ hai dhuāñ rahegā koī
ajiib naqsh banā.e haiñ vahshat-e-dil ne
magar ye ret hai is par nishāñ rahegā koī
makān-e-dil kī sabhī raunaqeñ makīnoñ se
makīn hī na rahe to makāñ rahegā koī
surāġh lā.egī kitne na.e jahānoñ kā
ye āgahī kā safar rā.egāñ rahegā koī
jo dil kī jhiil hī jazboñ se ho ga.ī ḳhālī
to apnī aañkh meñ āb-e-ravāñ rahegā koī
ham apne saath hī le jā.eñge jahāñ apnā
hamāre ba.ad to yūñhī jahāñ rahegā koī
Top Urdushayar.com