Azhar Abbas

jab tere KHwab se bedar hua karte the

Azhar Abbas

jab tire ḳhvāb se bedār huā karte the
ham kisī rañj se do-chār huā karte the
aa.ine chashm-e-tahayyur se hameñ dekhte the
ham ki jab tere giraftār huā karte the
aaj ma.alūm huā terī zarūrat hī na thī
ham yūñhī tere talabgār huā karte the
ab to ham roz unheñ paañv tale rauñdte haiñ
ye hī raste the jo dushvār huā karte the
daulat-e-ishq se ham kaam chalāte the miyāñ
bas yahī dirham-o-dīnār huā karte the
bārhā yuuñ bhī huā Duube hue ḳhvāb mire
us kī āñkhoñ se numūdār huā karte the
aap hī aap kahānī se nikalte jaate
jo mire jaise adākār huā karte the
lo ki ham bojh uThāte haiñ zamīñ se apnā
ham kabhī is pe bahut baar huā karte the
aaj jo log ḳharīdār haiñ tere 'az.har'
kal yahī mere ḳharīdār huā karte the
Top Urdushayar.com