Azhar Abbas

aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin

Azhar Abbas

aise pāmāl ki pahchān meñ aate hī nahīñ
phuul se chehre mire dhyān meñ aate hī nahīñ
rok letī hai kahīñ raah meñ nauhoñ kī sadā
ḳhush-navā giit mire kaan meñ aate hī nahīñ
yuuñ to kyā kyā na liyā zād-e-safar chalte hue
chand sapne haiñ jo sāmān meñ aate hī nahīñ
us taraf laḌne pe āmāda hai lashkar apnā
aur sālār ki maidān meñ aate hī nahīñ
aise sapne haiñ jinheñ ham ne nahīñ dekhā abhī
aise raste haiñ jo imkān meñ aate hī nahīñ
jurm aisā hai ki mujrim haiñ sabhī shahr ke log
aur asiir itne ki zindān meñ aate hī nahīñ
Top Urdushayar.com