dekh qindīl ruḳh-e-yār kī jānib mat dekh
tez talvār hai talvār kī jānib mat dekh
bol kitnī hai tire sāmne qīmat merī
chhoḌ bāzār ko bāzār kī jānib mat dekh
dekhnā hai to mujhe dekh ki maiñ kaisā huuñ
mere ujḌe hue ghar-bār kī jānib mat dekh
aur baḌh jā.egī tanhā.ī tujhe kyā ma.alūm
aisī tanhā.ī meñ dīvār kī jānib mat dekh
aage niklā hai to phir aage nikaltā chalā jā
pīchhe haTte hue sālār kī jānib mat dekh
tū mire sāmne aayā hai to phir dekh mujhe
merī TuuTī huī talvār kī jānib mat dekh
tū kahānī ke badalte hue manzar ko samajh
ḳhuun rote hue kirdār kī jānib mat dekh
terā dil hī na kahīñ kaaT ke rakh de 'az.har'
aañkh se girtī huī dhaar kī jānib mat dekh