mirī kahānī tirī kahānī se muḳhtalif hai
ki jaise āñkhoñ kā pānī, paanī se muḳhtalif hai
vo ek lamha jo dastaras meñ nahīñ rahā hai
vo zindagī bhar kī rā.igānī se muḳhtalif hai
ye jhiil āñkheñ hameñ jo paiġhām de rahī haiñ
vo tere hoñToñ kī tarjumānī se muḳhtalif hai
tirī judā.ī kā hādsa aisā hādsa hai
jo har haqīqat se har kahānī se muḳhtalif hai
maiñ dasht-e-vahshat kī ret huuñ aur tū ek dariyā
mirī ravānī tirī ravānī se muḳhtalif hai