raah miltī hai ghar nahīñ miltā
ghar mile bhī to dar nahīñ miltā
jis ko dekhā thā maiñ ne bachpan meñ
ab mujhe vo nagar nahīñ miltā
dekhtā huuñ jo ḳhud ko paanī meñ
jism miltā hai sar nahīñ miltā
mujh ko in zindagī kī rāhoñ meñ
koī bhī ham-safar nahīñ miltā
jaane kyā ho gayā hai mausam ko
sabz koī shajar nahīñ miltā
tujh ko 'salmān' terī mehnat kā
jaane ab kyuuñ samar nahīñ miltā