tum sā gar rāhbar nahīñ hotā
koī bhī raah par nahīñ hotā
rāste bhī fareb dete haiñ
jab koī ham-safar nahīñ hotā
us kī yādeñ jo ham-safar hotīñ
to safar tūl-tar nahīñ hotā
apne saa.e se jo na ho mahrūm
aisā koī shajar nahīñ hotā
haañ maiñ us kī agar milātā haañ
daar pe merā sar nahīñ hotā
maiñ nikaltā huuñ jab safar ke liye
ghar meñ raḳht-e-safar nahīñ hotā
laakh kartā huuñ koshisheñ 'ibrat'
ġham magar muḳhtasar nahīñ hotā