Ibrat Bahraichi

sukun-parwar hai jazbaati nahin hai

Ibrat Bahraichi

sukūñ-parvar hai jazbātī nahīñ hai
mirā hamdam ḳhurāfātī nahīñ hai
jo kartā thā charāġhāñ sab ke ghar meñ
usī ke ghar diyā-bātī nahīñ hai
mirā mahbūb hai mahbūb-e-kāmil
mirā mahbūb jazbātī nahīñ hai
ta.alluq rakh ke bhī hai be-ta.alluq
samajh meñ baat ye aatī nahīñ hai
jise raas aa ga.ī uzlat-nashīnī
tabī.at us kī ghabrātī nahīñ hai
pashemānī hai vo tere junūñ kī
mire ghar aa ke jo jaatī nahīñ hai
usī ġham meñ sadā rahtā huuñ hamdam
tirā jazba ināyātī nahīñ hai
mujhe 'ibrat' ḳhushī is baat kī hai
tirā maslak rivāyātī nahīñ hai
Top Urdushayar.com