Ibrat Bahraichi

be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin

Ibrat Bahraichi

be-zamīroñ ke kabhī jhāñse meñ maiñ aatā nahīñ
mushkiloñ kī bhiiḌ se hargiz maiñ ghabrātā nahīñ
mujh se ab apnī zabāñ se kuchh kahā jaatā nahīñ
jurm kar ke bhī koī mujrim sazā paatā nahīñ
merī ḳhuddārī sadā kartī hai merī rahbarī
maiñ kabhī patthar se apne sar ko Takrātā nahīñ
haq-shanāsī merā maslak haq-parastī merā kaam
maiñ khilaunoñ se kabhī dil apnā bahlātā nahīñ
peḌ jo detā hai saaya dhuup meñ rahtā hai vo
raushnī detā hai jo vo raushnī paatā nahīñ
aadmī ke paas ḳhud zaatī masā.il haiñ bahut
dūsroñ ke ab masā.il koī suljhātā nahīñ
ārzūoñ ke charāġhoñ ko bujhā baiThā huuñ maiñ
koī insāñ aa ke mere dil ko bahlātā nahīñ
Top Urdushayar.com