Ibrat Bahraichi

KHyal-e-bad se hama-waqt ijtinab karo

Ibrat Bahraichi

ḳhyāl-e-bad se hama-vaqt ijtināb karo
fazā-e-shahr ko dānista mat ḳharāb karo
jahāñ meñ aa.e ho do din kī zindagī le kar
har ik mahāz pe tum us ko kāmyāb karo
tamām shahr hai Duubā huā añdhere meñ
tum apne chāñd se chehre ko be-naqāb karo
idhar ḳhulūs udhar buġhz aur nafrat hai
aziiz kyā hai tumheñ is kā intiḳhāb karo
jo tum ne mujh ko diyā aur maiñ ne tum ko diyā
tum us kā baiTh ke chaupāl meñ hisāb karo
hijāb azmat-e-insāiyat kā zāmin hai
raho kahīñ bhī pa pābandī-e-hijāb karo
agar vatan se mohabbat hai tum ko ai 'ibrat'
to paidā azm se tum sabz inqalāb karo
Top Urdushayar.com