use chhuā hī nahīñ jo mirī kitāb meñ thā
vahī paḌhāyā gayā mujh ko jo nisāb meñ thā
vahī to din the ujāloñ ke phuul chunñe ke
unhīñ dinoñ maiñ añdheroñ ke intiḳhāb meñ thā
bas itnā yaad hai koī bagūlā uTThā thā
phir is ke ba.ad maiñ sahrā-e-iztirāb meñ thā
mirī uruuj kī likkhī thī dāstāñ jis meñ
mire zavāl kā qissa bhī us kitāb meñ thā
balā kā habs thā par niiñd TūTtī hī na thī
na koī dar na darīcha fasīl-e-ḳhvāb meñ thā
bas ek buuñd ke girte hī ho gayā āzād
vo haft-rañg ujālā jo mujh hubāb meñ thā