Vikas Sharma Raaz

zara lau charagh ki kam karo mera dukh hai phir se utar par

Vikas Sharma Raaz

Panipat, Haryana, India

1973
zarā lau charāġh kī kam karo mirā dukh hai phir se utaar par
jise sun ke ashk chhalak paḌeñ vahī dhun bajāo sitār par
zarā hairatoñ se nikal to luuñ zarā hosh aa.e to kuchh kahūñ
abhī kuchh na pūchh ki kyā huā mirā dhyān abhī hai ġhubār par
kahīñ harf harf gulāb hai kahīñ ḳhushbuoñ se ḳhitāb hai
maiñ ḳhizāñ-nasīb sahī magar mirā tabsira hai bahār par
mire dost tujh ko hai kyā patā tujhe de rahe haiñ jo mashvara
yahī log jashn manāeñge mirī jiit par tirī haar par
jahāñ har siñgār fuzūl hoñ jahāñ ugte sirf babūl hoñ
jahāñ zard rañg ho ghaas kā vahāñ kyuuñ na shak ho bahār par
Top Urdushayar.com