dariyāoñ meñ rahte hue pyāsā to nahīñ huuñ
pyāsā jo hai muddat se vo sahrā to nahīñ huuñ
kyā jāniye duniyā meñ tirī huuñ ki nahīñ bhī
rahte hue maujūd maiñ khoyā to nahīñ huuñ
vo saath mire chāñd sitārā hai falak har
ai dost shab-e-hijr meñ tanhā to nahīñ huuñ
tum vahm-o-gumāñ jaan ke anjān na honā
ik Thos haqīqat huuñ maiñ dhokā to nahīñ huuñ
chāhe to vo sāhil se kare ek ishārā
maiñ Duub rahā huuñ abhī Duubā to nahīñ huuñ
thā faisla is tark-e-vafādārī kā bāham
tum bhuul ga.e maiñ tumheñ bholā to nahīñ huuñ
hairat se bhalā kyoñ mujhe taktā hai zamāna
ai parda-e-aflāk tamāshā to nahīñ huuñ