Shafi Zamin

KHud apni aanch se ek shaKHs jal gaya mujh mein

Shafi Zamin

ḳhud apnī aañch se ik shaḳhs jal gayā mujh meñ
ye maiñ nahīñ huuñ to phir kaun Dhal gayā mujh meñ
ye kis ne chhed ke rakh dī mirī anā kī sipar
ye kaun tiir kī mānind chal gayā mujh meñ
phir us kī yaad meñ dil be-qarār rahne lagā
phir ek baar ye patthar pighal gayā mujh meñ
ye aa.ine meñ mire aks ke sivā kyā thā
ki ek shaḳhs achānak dahal gayā mujh meñ
kuchh aise habs bhare roz-o-shab mile mujh ko
ki ek paa.e kā fankār gal gayā mujh meñ
kisī taraf se sahārā milā na jab koī
to ek Doltā insāñ sambhal gayā mujh meñ
dhanak ke rañg bhalā kaun chhū sakā 'zāmin'
ye aaj kyuuñ mirā bachpan machal gayā mujh meñ
Top Urdushayar.com