daaġh hone lage zāhir mere
tez kar rañg musavvir mere
merī āñkhoñ meñ siyāhī bhar de
yā hare kar de manāzir mere
nuqra.ī jhiil bulātī thī unheñ
phañs ga.e jaal meñ taa.ir mere
kaun tahlīl huā hai mujh meñ
muntashir kyuuñ haiñ anāsir mere
hai kahāñ shañkh bajāne vaalā
kab se ḳhāmosh haiñ mandir mere
sañg se jism bhī kar ab mujh ko
tū kahāñ khoyā hai sāhir mere
lafz kī qaid-o-rihā.ī kā hunar
kaam aa hī gayā āḳhir mere