ġhazal meñ jaan paḌī guftugū meñ phuul khile
mirī navā se dayār-e-numū meñ phuul khile
mire hī sher uchhāle mire harīfoñ ne
mire tufail zabān-e-adū meñ phuul khile
unheñ ye zom ki be-sūd hai sadā-e-suḳhan
hameñ ye zid ki isī hāo-hū meñ phuul khile
ye kis ko yaad kiyā ruuh kī zarūrat ne
ye kis ke naam se mere lahū meñ phuul khile
bahār ab ke na Thahrī kisī bhī qarye meñ
na bāġh-e-ḳhvāb na sahrā-e-hū meñ phuul khile
zamīn-e-kūfa ko yuuñ hī ḳharāb rahnā thā
to kis liye ye sinān-o-gulū meñ phuul khile
mire junūñ se pas-e-dasht-e-jāñ ġhubār uThā
mire lahū se dar-e-rū-ba-rū meñ phuul khile
kabhī kamand koī mauj Daal de 'arshad'
kabhī havā-e-sar-e-ābjū meñ phuul khile