ash.ār meñ jo mere kiran justujū kī hai
mīrās ye bhī tere hī mohar-e-numū kī hai
nazroñ meñ ab bhī haiñ tire lahje ke māh-o-najm
ab bhī samā.atoñ meñ chamak guftugū kī hai
terī pukār hai ki ye būñdeñ haiñ os kī
āvāz-e-naġhma hai ki sadā āb-jū kī hai
dīvār-e-zabt TuuT bhī saktī hai kuchh karūñ
favvāra chhūT jaa.e vo hālat lahū kī hai
yuuñ phuul to baraste na the kū-e-yār meñ
ye ham guzarte haiñ ki savārī adū kī hai
pyāsoñ ko intiḳhāb kī jur.at na koī haq
kyā pūchhiye huzūr ye kis ke subū kī hai
'arshad' vo sāmne hī to hai shāḳh-e-dastaras
duurī bas ek jast-e-buland-ārzū kī hai