mujh sā betāb yahāñ koī nahīñ mere sivā
ya.anī barbād-e-jahāñ koī nahīñ mere sivā
raushnī thī to ka.ī saa.e nazar aate the
tīrgī hai to yahāñ koī nahīñ mere sivā
bhiiḌ meñ ek taraf gosha-e-iḳhlās bhī hai
ġhaur se dekh vahāñ koī nahīñ mere sivā
shahr mere hī bharose pe ho ḳhufta jaise
hadaf-e-shor-e-sagāñ koī nahīñ mere sivā
sar-bulandī mirī tanhā.ī tak aa pahuñchī hai
maiñ vahāñ huuñ ki jahāñ koī nahīñ mere sivā
sher meñ ġhair kī tashbīh kahāñ se aa.e
merī mānind yahāñ koī nahīñ mere sivā
chain likhtā hai mire ḳhvāb kā raavī 'rāshid'
is samundar meñ ravāñ koī nahīñ mere sivā