us kā lahja ukhaḌtā jaatā hai
phir bichhaḌne kā vaqt aatā hai
us kā andāz-e-guftugū akasr
mere lahje meñ jagmagātā hai
us kī sāñseñ jab aag detī haiñ
merā chehra bhī timtimātā hai
pyaas jab eḌiyāñ ragaḌtī hai
chashma-e-āb phuuT jaatā hai
jab bhī aatā hai phuul kājal ke
mere kāñdhe pe Taañk jaatā hai
maiñ chakoroñ kā ham-navā huuñ mujhe
tū shab-e-hijr se Darātā hai
der tak maiñ bhī maiñ nahīñ rahtā
jab vo mere qarīb aatā hai