zindagī kī raah meñ ik moḌ aisā aa.egā
jis ke aage har koī ḳhud ko akelā pā.egā
kaun kitnā zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegī faisla ho jā.egā
aaj bhī us rūThne vaale se ye ummīd hai
merī jānib dekh kar ik baar to muskā.egā
is tarah degā sazā apnā.iyat ke jurm kī
maiñ use apnā kahūñ vo ġhair ke gun gā.egā
ab hamārī aañkh meñ manzar na koī ḳhvāb hai
tujh se ik rishta dhanak rañgoñ kī chādar lā.egā
jal chuke miT bhī chuke kab se ġharīboñ ke makāñ
ye dhuāñ kab tak hamāre zehn meñ lahrā.egā
de to aa.e us ko saare faisle karne kā haq
dil laraztā hai muqadma kis ke haq meñ jā.egā