guloñ ko chhū ke shamīm-e-duā nahīñ aa.ī
khulā huā thā darīcha sabā nahīñ aa.ī
havā-e-dasht abhī to junūñ kā mausam thā
kahāñ the ham tirī āvāz-e-pā nahīñ aa.ī
abhī sahīfa-e-jāñ par raqam bhī kyā hogā
abhī to yaad bhī be-sāḳhta nahīñ aa.ī
ham itnī duur kahāñ the ki phir palaT na sakeñ
savād-e-shahr se koī sadā nahīñ aa.ī
sunā hai dil bhī nagar thā rasā basā bhī thā
jalā to aañch bhī ahl-e-vafā nahīñ aa.ī
na jaane qāfile guzre ki hai qayām abhī
abhī charāġh bujhāne havā nahīñ aa.ī
bas ek baar manāyā thā jashn-e-mahrūmī
phir is ke ba.ad koī ibtilā nahīñ aa.ī
hatheliyoñ ke gulāboñ se ḳhuun ristā rahā
magar vo shoḳhī-e-rañg-e-hinā nahīñ aa.ī
ġhayūr dil se na māñgī ga.ī murād 'adā'
barasne aap hī kaalī ghaTā nahīñ aa.ī