vahshī ishq-e-junūñ kam bhī nahīñ kartā hai
aur yuuñ bhī hai ki ab ram bhī nahīñ kartā hai
toḌ bhī letā hai vo rabt-e-ināyat ham se
rishta-e-dard ko mohkam bhī nahīñ kartā hai
us kā shikva nahīñ kar sakte ki vo dil ke ta.iiñ
ḳhush nahīñ kartā to barham bhī nahīñ kartā hai
mujhe dīvār-e-anā se vo girātā bhī nahīñ
aur ūñchā mirā parcham bhī nahīñ kartā hai
tabr-o-teġh hamārī bhī dharī hai kab se
chheḌ muddat huī aalam bhī nahīñ kartā hai