kyā jāniye kis baat pe maġhrūr rahī huuñ
kahne ko to jis raah chalāyā hai chalī huuñ
tum paas nahīñ ho to ajab haal hai dil kā
yuuñ jaise maiñ kuchh rakh ke kahīñ bhuul ga.ī huuñ
phūloñ ke kaToroñ se chhalak paḌtī hai shabnam
hañsne ko tire pīchhe bhī sau baar hañsī huuñ
tere liye taqdīr mirī jumbish-e-abrū
aur maiñ tirā īmā-e-nazar dekh rahī huuñ
sadiyoñ se mire paañv tale jannat-e-insāñ
maiñ jannat-e-insāñ kā pata pūchh rahī huuñ
dil ko to ye kahte haiñ ki bas qatra-e-ḳhūñ hai
kis aas pe ai sañg-e-sar-e-rāh chalī huuñ
jis haath kī taqdīs ne gulshan ko sañvārā
us haath kī taqdīr pe āzurda rahī huuñ
qismat ke khilaune haiñ ujālā ki añdherā
dil sho.ala-talab thā so bahar-hāl jalī huuñ