Ada Jafarey

koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
koī sañg-e-rah bhī chamak uThā to sitāra-e-saharī kahā
mirī raat bhī tire naam thī use kis ne tīra-shabī kahā
mire roz o shab bhī ajiib the na shumār thā na hisāb thā
kabhī umr bhar kī ḳhabar na thī kabhī ek pal ko sadī kahā
mujhe jāntā bhī koī na thā mire be-niyāz tire sivā
na shikast-e-dil na shikast-e-jāñ ki tirī ḳhushī ko ḳhushī kahā
koī yaad aa bhī ga.ī to kyā koī zaḳhm khil bhī uThā to kyā
jo sabā qarīb se ho chalī use minnatoñ kī ghaḌī kahā
bharī dopahar meñ jo paas thī vo tire ḳhayāl kī chhāñv thī
kabhī shāḳh-e-gul se misāl dī kabhī us ko sarv-e-samanī kahā
kahīñ sañg-e-rah kahīñ sañg-e-dar ki maiñ pattharoñ ke nagar meñ huuñ
ye nahīñ ki dil ko ḳhabar na thī ye batā ki muñh se kabhī kahā
mire harf harf ke haath meñ sabhī ā.inoñ kī haiñ kirchiyāñ
jo zabāñ se ho na sakā 'adā' ba-hudūd-e-be-suḳhanī kahā
Top Urdushayar.com