guloñ sī guftugū kareñ qayāmatoñ ke darmiyāñ
ham aise log ab mileñ hikāyatoñ ke darmiyāñ
lahūluhān uñgliyāñ haiñ aur chup khaḌī huuñ maiñ
gul o saman kī be-panāh chāhatoñ ke darmiyāñ
hatheliyoñ kī oT hī charāġh le chalūñ abhī
abhī sahar kā zikr hai rivāyatoñ ke darmiyāñ
jo dil meñ thī nigāh sī nigāh meñ kiran sī thī
vo dāstāñ ulajh ga.ī vazāhatoñ ke darmiyāñ
sahīfa-e-hayāt meñ jahāñ jahāñ likhī ga.ī
likhī ga.ī hadīs-e-jāñ jarāhatoñ ke darmiyāñ
koī nagar koī galī shajar kī chhāñv hī sahī
ye zindagī na kaT sake masāfatoñ ke darmiyāñ
ab us ke ḳhāl-o-ḳhad kā rañg mujh se pūchhnā abas
nigah jhapak jhapak ga.ī irādatoñ ke darmiyāñ
sabā kā haath thaam kar 'adā' na chal sakogī tum
tamām umr ḳhvāb ḳhvāb sā.atoñ ke darmiyāñ