Ada Jafarey

waise hi KHayal aa gaya hai

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015

vaise ḳhayāl aa gayā hai

dil meñ malāl aa gayā hai

aañsū jo rukā vo kisht-e-jāñ meñ

bārish misāl aa gayā hai

ġham ko na ziyāñ kaho ki dil meñ

ik sāhib-e-hāl aa gayā hai

jugnū sahī fasīl-e-shab meñ

ā.īna-ḳhisāl aa gayā hai

aa dekh ki mere āñsuoñ meñ

ye kis jamāl aa gayā hai

muddat huī kuchh na dekhne

āñkhoñ ko kamāl aa gayā hai

maiñ kitne hisār toḌ aa.ī

jiinā thā muhāl aa gayā hai

Top Urdushayar.com