āñkhoñ meñ ruup sub.h kī pahlī kiran sā hai
ahvāl jī kā zulf-e-shikan-dar-shikan sā hai
kuchh yādgār apnī magar chhoḌ kar ga.iiñ
jaatī rutoñ kā haal diloñ kī lagan sā hai
āñkheñ baras ga.iiñ to nikhār aur aa gayā
yādoñ kā rañg bhī to gul-o-yāsman sā hai
kis moḌ par haiñ aaj ham ai rahguzār-e-nāz
ab dard kā mizāj kisī ham-suḳhan sā hai
hai ab bhī rañg rañg-e-tamannā kā pairahan
ḳhvāboñ ke saath ab bhī vahī husn-e-zan sā hai
kin manziloñ luTe haiñ mohabbat ke qāfile
insāñ zamīñ pe aaj ġharīb-ul-vatan sā hai
vo jis kā saath chhoḌ chukā nāz-e-āgahī
ab bhī talāsh-e-rah meñ vahī rāhzan sā hai
shāḳhoñ kā rañg-rūp ḳhizāñ le ga.ī magar
andāz aaj bhī vahī arbāb-e-fan sā hai
ḳhushbū ke thāmne ko baḌhā.e haiñ haath 'adā'
dāmān-e-ārzū bhī sabā-pairahan sā hai