ujālā de charāġh-e-rahguzar āsāñ nahīñ hotā
hamesha ho sitārā ham-safar āsāñ nahīñ hotā
jo āñkhoñ oT hai chehra usī ko dekh kar jiinā
ye sochā thā ki āsāñ hai magar āsāñ nahīñ hotā
baḌe tābāñ baḌe raushan sitāre TuuT jaate haiñ
sahar kī raah taknā tā-sahar āsāñ nahīñ hotā
añdherī kāsnī rāteñ yahīñ se ho ke guzreñgī
jalā rakhnā koī dāġh-e-jigar āsāñ nahīñ hotā
kisī dard-āshnā lamhe ke naqsh-e-pā sajā lenā
akele ghar ko kahnā apnā ghar āsāñ nahīñ hotā
jo Tapke kāsa-e-dil meñ to aalam hī badal jaa.e
vo ik aañsū magar ai chashm-e-tar āsāñ nahīñ hotā
gumāñ to kyā yaqīñ bhī vasvasoñ kī zad meñ hotā hai
samajhnā sañg-e-dar ko sañg-e-dar āsāñ nahīñ hotā
na bahlāvā na samjhautā judā.ī sī judā.ī hai
'adā' socho to ḳhushbū kā safar āsāñ nahīñ hotā