ḳhalish-e-tīr-e-be-panāh ga.ī
lījiye un se rasm-o-rāh ga.ī
aap hī markaz-e-nigāh rahe
jaane ko chār-sū nigāh ga.ī
sāmne be-naqāb baiThe haiñ
vaq.at-e-husn-e-mehr-o-māh ga.ī
us ne nazreñ uThā ke dekh liyā
ishq kī jur.at-e-nigāh ga.ī
intihā-e-junūñ mubārakbād
pursish-e-hāl gaah gaah ga.ī
mar miTe jald-bāz parvāne
apnī sī sham.a to nibāh ga.ī
dil meñ azm-e-haram sahī lekin
un ke kūche ko gar ye raah ga.ī