his nahīñ taḌap nahīñ bāb-e-atā bhī kyuuñ khule
ham haiñ girafta-dil abhī ham se sabā bhī kyuuñ khule
ab ye udaas din hameñ saath liye liye phire
ḳhvāb bujhe to kyā rahā kaalī ghaTā bhī kyuuñ khule
dil kā koī ziyāñ nahīñ jaañ kā mo.āmla nahīñ
haath meñ ik diyā nahīñ mauj-e-havā bhī kyuuñ khule
yaañ kisī rahguzar pe kuchh naqsh-e-qadam paḌe rahe
qāsid-e-ḳhush-ḳhabar nahīñ shahr-e-sabā bhī kyuuñ khule
umr tamām kaaT dī hasrat-e-kāḳh-o-kū liye
mere tumhāre sāmne arz-o-samā bhī kyuuñ khule
kūza-ba-kūza baT ga.iiñ jitnī bhī thiiñ sadāqateñ
ḳhālī hatheliyoñ pe ab harf-e-duā bhī kyuuñ khule
shiddat-e-raqs-e-ārzū apnā javāz aap thī
merī nigāh par 'adā' merī ḳhatā bhī kyuuñ khule