aalam hī aur thā jo shanāsā.iyoñ meñ thā
jo diip thā nigāh kī parchhā.iyoñ meñ thā
vo be-panāh ḳhauf jo tanhā.iyoñ meñ thā
dil kī tamām anjuman-ārā.iyoñ meñ thā
ik lamha-e-fusūñ ne jalāyā thā jo diyā
phir umr bhar ḳhayāl kī ra.anā.iyoñ meñ thā
ik ḳhvāb-gūñ sī dhuup thī zaḳhmoñ kī aañch meñ
ik sā.ebāñ sā dard kī purvā.iyoñ meñ thā
dil ko bhī ik jarāhat-e-dil ne atā kiyā
ye hausla ki apne tamāshā.iyoñ meñ thā
kaTtā kahāñ tavīl thā rātoñ kā silsila
sūraj mirī nigāh kī sachchā.iyoñ meñ thā
apnī galī meñ kyuuñ na kisī ko vo mil sakā
jo e'timād bādiya-paimā.iyoñ meñ thā
is ahd-e-ḳhud-sipās kā pūchho ho mājrā
masrūf aap apnī pazīrā.iyoñ meñ thā
us ke huzūr shukr bhī āsāñ nahīñ 'adā'
vo jo qarīb-e-jāñ mirī tanhā.iyoñ meñ thā