na bām-o-dasht na dariyā na kohsār mile
junūñ kī raah thī hālāt sāzgār mile
laboñ pe harf-e-shikāyat bhī aa ke TuuT gayā
vo ḳhud figār the jo haath sañg-bār mile
udhar fasīl-e-shab-e-ġham idhar hai shahr-e-panāh
sabā se kahiyo vahīñ aa ke ek baar mile
ye bebasī to mire ahd kā muqaddar thī
diloñ ko dāġh-e-tamannā bhī musta.ār mile
hatheliyoñ pe charāġh-e-duā sajā.e hue
mile nigār-e-bahārāñ to sharmsār mile
koī to rāh-e-tamannā meñ ham-safar hotā
koī to kū-e-vafā meñ ḳhatā-shi.ār mile
mohabbatoñ se to pahle hī kyā tavaqqo thī
muravvatoñ ke bhī dāmān taar taar mile
maiñ kaise apne ḳhadd-o-ḳhāl aaj pahchānūñ
jo ā.īna mile ālūda-e-ġhubār mile
mirī talab kī ye me.arāj hai ki ijz 'adā'
jidhar se guzrūñ vahī ek rahguzār mile