har gaam sambhal sambhal rahī thī
yādoñ ke bhañvar meñ chal rahī thī
sāñche meñ ḳhabar ke Dhal rahī thī
ik ḳhvāb kī lau se jal rahī thī
shabnam sī lagī jo dekhne maiñ
patthar kī tarah pighal rahī thī
rūdād safar kī pūchhte ho
maiñ ḳhvāb meñ jaise chal rahī thī
kaifiyyat-e-intizār-e-paiham
hai aaj vahī jo kal rahī thī
thī harf-e-duā sī yaad us kī
zanjīr-e-firāq gal rahī thī
kaliyoñ ko nishān-e-rah dikhā kar
mahkī huī raat Dhal rahī thī
logoñ ko pasand laġhzish-e-pā
aise meñ 'adā' sambhal rahī thī