yahī nahīñ ki zaḳhm-e-jāñ ko chāra-jū milā nahīñ
ye haal thā ki dil ko ism-e-ārzū milā nahīñ
abhī talak jo ḳhvāb the charāġh the gulāb the
vo rahguzar koī na thī ki jis pe tū milā nahīñ
tamām umr kī masāfatoñ ke ba.ad hī khulā
kabhī kabhī vo paas thā jo chaar sū milā nahīñ
vo jaise ik ḳhayāl thā jo zindagī pe chhā gayā
rifāqateñ thiiñ aur yuuñ ki rū-ba-rū milā nahīñ
tamām ā.inoñ meñ aks the mirī nigāh ke
bhare nagar meñ ek bhī mujhe adū milā nahīñ
virāsatoñ ke haath meñ jo ik kitāb thī milī
kitāb meñ jo harf hai sitāra-ḳhū milā nahīñ
vo kaisī aas thī adā jo kū-ba-kū liye phirī
vo kuchh to thā jo dil ko aaj tak kabhū milā nahīñ