Ada Jafarey

wo lamha ki KHamoshi-e-shab naghma-sara thi

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
vo lamha ki ḳhāmoshī-e-shab naġhma-sarā thī
kānoñ pe garāñ dil ke dhaḌakne kī sadā thī
jis moḌ pe chhoḌī hai sahāroñ kī tamannā
kahte haiñ baḌā qahr vahī laġhzish-e-pā thī
kyuuñ aaj dhuāñ ban ke ufuq-tā-ba-ufuq hai
is saañs meñ kaliyoñ ke chaTakne kī sadā thī
har lamha-e-betāb ne DhūñDī haiñ panāheñ
gūñjī thī ḳhamoshī tirī āvāz to kyā thī
har din ke sahīfe pe tirā naam likhā hai
har shab kī jabīñ terā nishān-e-kaf-e-pā thī
kyā kahte ki hoñToñ pe bas ik harf-e-vafā thā
kyā kījiye har saañs jo ta.azīr-e-vafā thī
uThte hue dekhā hai dhuāñ ātish-e-gul se
kyā nik.hat-e-barbād jale dil kī duā thī
kyā jāniye marnā bhī ravā hai ki nahīñ hai
takvīn ke lab par mire jiine kī duā thī
Top Urdushayar.com