Ada Jafarey

zaban ko hukm nigah-e-karam ko pahchane

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
zabāñ ko hukm nigāh-e-karam ko pahchāne
nigah kā jurm ġhubār-e-alam ko pahchāne
vo ek jaam kahāñ har kisī kī qismat meñ
vo ek zarf ki e.ajāz-e-sam ko pahchāne
matā-e-dard parakhnā to bas kī baat nahīñ
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchāne
vo dil jo ḳhaak hue aaj tak dhaḌakte haiñ
rah-e-vafā tire mojiz-raqam ko pahchāne
sahar se pahle yahāñ āftāb ubhre haiñ
ḳhulūs bandgī-e-chashm-e-nam ko pahchāne
ye ḳhud-fareb ujāle ye haath haath diye
diye bujhāo ki insān ġham ko pahchāne
kisī ḳhayāl kā saaya kisī umiid kī dhuup
koī to aa.e ki dil kaif-o-kam ko pahchāne
hazār kos nigāhoñ se dil kī manzil tak
koī qarīb se dekhe to ham ko pahchāne
jo ham-safar bhī rahe haiñ sharīk-e-manzil bhī
kuchh ajnabī to na the phir bhī kam ko pahchāne
bahut dinoñ to havāoñ kā ham ne ruḳh dekhā
baḌe dinoñ meñ matā-e-qalam ko pahchāne
Top Urdushayar.com