Ada Jafarey

har ek daricha kiran kiran hai jahan se guzre jidhar gae hain

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
har ik darīcha kiran kiran hai jahāñ se guzre jidhar ga.e haiñ
ham ik diyā aarzū kā le kar ba-tarz-e-shams-o-qamar ga.e haiñ
jo merī palkoñ se tham na paa.e vo shabnamīñ mehrbāñ ujāle
tumhārī āñkhoñ meñ aa ga.e to tamām raste nikhar ga.e haiñ
vo duur kab thā harīm-e-jāñ se ki lafz o ma.anī ke naaz uThātī
jo harf hoñToñ pe aa na paa.e vo ban ke ḳhushbū bikhar ga.e haiñ
jo dard īsā-nafas na hotā to dil pe kyā e'tibār aatā
kuchh aur paimāñ kuchh aur paikāñ ki zaḳhm jitne the bhar ga.e haiñ
ḳhazīne jaañ ke luTāne vaale diloñ meñ basne kī aas le kar
sunā hai kuchh log aise guzre jo ghar se aa.e na ghar ga.e haiñ
jab ik nigah se ḳharāsh aa.ī zamāne bhar se gila huā hai
jo dil dukhā hai to ranj saare na jaane kis kis ke sar ga.e haiñ
shikast-e-dil tak na baat pahuñchī magar 'adā' kah sako to kahnā
ki ab ke sāvan dhanak se āñchal ke rañg saare utar ga.e haiñ
Top Urdushayar.com