dil apnā jalāyā hai kisī ne bhī ḳhushī se
ban jaatī hai jī par to guzar jaate haiñ jī se
jhūToñ kabhī pūchhā hai to vahm aa.e haiñ kyā kyā
mānūs haiñ itne tirī begāna-ravī se
rasta jise mil jaa.e ye taufīq hai us kī
palTā nahīñ ab tak hai koī terī galī se
ḳhushbū ne bahārāñ kī sunī chaap kisī ne
māyūs na honā mirī āhista-ravī se
ban ban ke bigaḌte rahe ummīd ke paikar
aazar the magar kaam rahā but-shikanī se
andesha bas itnā hī rahā dasht-e-talab meñ
bhar aa.e kahīñ aañkh 'adā' tishna-labī se