jab dil kī rahguzar pe tirā naqsh-e-pā na thā
jiine kī aarzū thī magar hausla na thā
aage harīm-e-ġham se koī rāsta na thā
achchhā huā ki saath kisī ko liyā na thā
dāmān-e-chāk chāk-gulūñ ko bahāna thā
varna nigāh-o-dil meñ koī fāsla na thā
kuchh log sharmsār ḳhudā jaane kyuuñ hue
un se to rūh-e-asr hameñ kuchh gila na thā
jalte rahe ḳhayāl barastī rahī ghaTā
haañ nāz-e-āgahī tujhe kyā kuchh ravā na thā
sunsān dopahar hai baḌā jī udaas hai
kahne ko saath saath hamāre zamāna thā
har aarzū kā naam nahīñ ābrū-e-jāñ
har tishna-lab jamāl-e-ruḳh-e-karbalā na thā
āñdhī meñ barg-e-gul kī zabāñ se 'adā' huā
vo raaz jo kisī se abhī tak kahā na thā