aage harīm-e-ġham se koī rāsta na thā
achchhā huā ki saath kisī ko liyā na thā
dāmān-e-chāk chaak guloñ ko bahāna thā
dil kā jo rañg thā vo nazar se chhupā na thā
rañg-e-shafaq kī dhuup khilī thī qadam qadam
maqtal meñ sub.h-o-shām kā manzar judā na thā
kyā bojh thā ki jis ko uThā.e hue the log
muḌ kar kisī kī samt koī dekhtā na thā
kuchh itnī raushnī meñ the chehroñ ke aa.ine
dil us ko DhūñDhtā thā jise jāntā na thā
kuchh log sharmsār ḳhudā jaane kyuuñ hue
apne sivā hameñ to kisī se gilā na thā
har ik qadam uThā thā na.e mausamoñ ke saath
vo jo sanam tarāsh thā but pūjtā na thā
jis dar se dil ko zauq-e-ibādat atā huā
us āstān-e-shauq pe sajda ravā na thā
āñdhī meñ barg-e-gul kī zabāñ se adā huā
vo raaz jo kisī se abhī tak kahā na thā