ḳhāmushī se huī fuġhāñ se huī
ibtidā rañj kī kahāñ se huī
koī taa.ir idhar nahīñ aatā
kaisī taqsīr is makāñ se huī
mausamoñ par yaqīn kyuuñ chhoḌā
bad-gumānī to sā.ebāñ se huī
be-nihāyat samundaroñ kā safar
guftugū sirf bādbāñ se huī
ye jo uljhī huī kahānī hai
mo'tabar harf-e-rā.egāñ se huī
dil kī ābādiyoñ ko pūchho ho
raushnī barq-e-be-amāñ se huī
tishnagī bebasī lab-e-dariyā
merī pahchān hī vahāñ se huī
itnī ujlī na thī ye rāhguzar
naqsh-e-pā-e-balā-kashāñ se huī