Ada Jafarey

jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
jo charāġh saare bujhā chuke unheñ intizār kahāñ rahā
ye sukūñ kā daur-e-shadīd hai koī be-qarār kahāñ rahā
jo duā ko haath uThā.e bhī to murād yaad na aa sakī
kisī kārvāñ kā jo zikr thā vo pas-e-ġhubār kahāñ rahā
ye tulū-e-roz-e-malāl hai so gila bhī kis se kareñge ham
koī dilrubā koī dil-shikan koī dil-figār kahāñ rahā
koī baat ḳhvāb-o-ḳhayāl kī jo karo to vaqt kaTegā ab
hameñ mausamoñ ke mizāj par koī e'tibār kahāñ rahā
hameñ kū-ba-kū jo liye phirī kisī naqsh-e-pā kī talāsh thī
koī āftāb thā zau-fagan sar-e-rahguzār kahāñ rahā
magar ek dhun to lagī rahī na ye dil dukhā na gila huā
ki nigah ko rañg-e-bahār par koī iḳhtiyār kahāñ rahā
sar-e-dasht hī rahā tishna-lab jise zindagī kī talāsh thī
jise zindagī kī talāsh thī lab-e-jūebār kahāñ rahā
Top Urdushayar.com