kāñTā sā jo chubhā thā vo lau de gayā hai kyā
ghultā huā lahū meñ ye ḳhurshīd sā hai kyā
palkoñ ke biich saare ujāle simaT ga.e
saaya na saath de ye vahī marhala hai kyā
maiñ āñdhiyoñ ke paas talāsh-e-sabā meñ huuñ
tum mujh se pūchhte ho mirā hausla hai kyā
sāgar huuñ aur mauj ke har dā.ere meñ huuñ
sāhil pe koī naqsh-e-qadam kho gayā hai kyā
sau sau tarah likhā to sahī harf-e-ārzū
ik harf-e-ārzū hī mirī intihā hai kyā
ik ḳhvāb-e-dil-pazīr ghanī chhāñv kī tarah
ye bhī nahīñ to phir mirī zanjīr-e-pā hai kyā
kyā phir kisī ne qarz-e-muravvat adā kiyā
kyuuñ aañkh be-savāl hai dil phir dukhā hai kyā