Ada Jafarey

taufiq se kab koi sarokar chale hai

Ada Jafarey

Badayun, Uttar pradesh, India

1924-2015
taufīq se kab koī sarokār chale hai
duniyā meñ faqat tāla-e-bedār chale hai
Thahrūñ to chaTānoñ sī kaleje pe khaḌī hai
jā.ūñ to mire saath hī dīvār chale hai
har ġhuncha baḌe chaav se khiltā hai chaman meñ
har daur kā mansūr sar-e-dār chale hai
rañgoñ kī na ḳhushbū kī kamī hai dil-o-jāñ ko
tosha jo chale saath vo ik ḳhaar chale hai
dil ke liye bas aañkh kā me.aar bahut hai
jo sikka-e-jāñ hai sar-e-bāzār chale hai
hairat se shagūfoñ kī jhapaktī nahīñ āñkheñ
kis aan se kāñToñ kā ḳharīdār chale hai
ḳhurshīd vahāñ ham ne sulagte hue dekhe
kirnoñ kā jis āshob meñ bevpār chale hai
ik jumbish-e-mizhgāñ kī ijāzat bhī nahīñ hai
dil saath chalā hai ki sitamgār chale hai
the ḳhizr bhī lākhoñ yahāñ iisā bhī bahut the
āzār jo dil kā hai so āzār chale hai
Top Urdushayar.com