Arshad Abdul Hamid

ise tere gham ki KHabar na ho to har ek gham ko chhupae rakh

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

ise tere ġham kī ḳhabar na ho to har ek ġham ko chhupā.e rakh
vo harī rutoñ kā gulāb hai use dhuup rut se bachā.e rakh
vo jo ek baar chalā gayā to kabhī palaT ke na aa.egā
use ruuTh jaane se rok le ye diloñ kā rabt banā.e rakh
yahī chāhatoñ kā usuul hai ki hatheliyoñ pe lahū sajā
use yaad rakhne kī aarzū hai to apne dil ko bhulā.e rakh
koī sham.a hai ki jo bujh ga.ī to na.e sire se jalā liyā
ye charāġh dil kā charāġh hai use āñdhiyoñ se bachā.e rakh
Top Urdushayar.com